hum mata-e-dil-o-jaan le ke bhala kya jaen
aisi basti mein jahan koi luTera bhi nahin
Aziz Bano Darab Wafa
hum ne sara jiwan banTi pyar ki daulat logon mein
hum hi sara jiwan tarse pyar ki pai pai ko
Aziz Bano Darab Wafa
hum ne sab ko muflis pa ke toD diya dil ka kashkol
hum ko koi kya de dega kyun munh-dekhi baat karen
Aziz Bano Darab Wafa
hum se ziyaada kaun samajhta hai gham ki gahrai ko
hum ne KHwabon ki miTTi se paTa hai is khai ko
Aziz Bano Darab Wafa
hamari bebasi shahron ki diwaron pe chipki hai
hamein DhunDegi kal duniya purane ishtihaaron mein
Aziz Bano Darab Wafa
hamein di jaegi phansi hamare apne jismon mein
ujaDi hain tamannaon ki lakhon bastiyan hum ne
Aziz Bano Darab Wafa
ek wahi khol saka satwan dar mujh pe magar
ek shab bhul gaya pherna jadu wo bhi
Aziz Bano Darab Wafa