main kis zaban mein us ko kahan talash karun
jo meri gunj ka lafzon se tarjuma kar de
Aziz Bano Darab Wafa
main kisi janm ki yaadon pe paDa parda hun
koi ek lamhe ko ek dam se uThata hai mujhe
Aziz Bano Darab Wafa
main ne ye soch ke boe nahin KHwabon ke daraKHt
kaun jangal mein uge peD ko pani dega
Aziz Bano Darab Wafa
main phuT phuT ke roi magar mere andar
bikherta raha be-rabt qahqahe koi
Aziz Bano Darab Wafa
main raushni hun to meri pahunch kahan tak hai
kabhi charagh ke niche bikhar ke dekhungi
Aziz Bano Darab Wafa
main shaKH-e-sabz hun mujh ko utar kaghaz par
meri tamam bahaaron ko be-KHizan kar de
Aziz Bano Darab Wafa
main us ke samne uryan lagungi duniya ko
wo mere jism ko mera libas kar dega
Aziz Bano Darab Wafa