khilna har ek phul ka 'asghar' hai moajaza
murjhati hai kali bhi bahaaron ke darmiyan
Asghar Velori
log achchhon ko bhi kis dil se bura kahte hain
hum ko kahne mein buron ko bhi bura lagta hai
Asghar Velori
mujh ko gham ka na kabhi dard ka ehsas raha
har KHushi pas thi jab tak tu mere pas raha
Asghar Velori
paDhte the kitabon mein qayamat ka saman
nepal mein kuchh is ka namuna dekha
Asghar Velori
aushni jab se mujhe chhoD gai
shama roti hai sirhane mere
Asghar Velori
shikar apni ana ka hai aaj ka insan
jise bhi dekhiye tanha dikhai deta hai
Asghar Velori
tere mahal mein hazaron charagh jalte hain
ye mera ghar hai yahan dil ke dagh jalte hain
Asghar Velori