na jaane kab koi aa kar meri takmil kar jae
isi ummid pe KHud ko adhura chhoD jaana hai
Ashar Najmi
na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe
sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin
Ashar Najmi
afta rafta KHatm qissa ho gaya hona hi tha
wo bhi aaKHir mere jaisa ho gaya hona hi tha
Ashar Najmi
aste farar ke sabhi masdud to na the
apni shikast ka mujhe kyun e'tiraf tha
Ashar Najmi
saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai
har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain
Ashar Najmi
saunpoge apne baad wirasat mein kya mujhe
bachche ka ye sawal hai gunge samaj se
Ashar Najmi
shayad meri nigah mein koi shigaf tha
warna udas raat ka chehra to saf tha
Ashar Najmi