kho gai ja ke nazar yun ruKH-e-raushan ke qarib
jaise kho jati hai bewa koi dulhan ke qari
Asghar Mehdi Hosh
KHuda badal na saka aadmi ko aaj bhi 'hosh'
aur ab tak aadmi ne saikDon KHuda badle
Asghar Mehdi Hosh
kya sitam karte hain miTTi ke khilaune wale
ram ko rakkhe hue baiThe hain rawan ke qari
Asghar Mehdi Hosh
mere hi panw mere sab se baDe dushman hain
jab bhi uThte hain usi dar ki taraf jate hain
Asghar Mehdi Hosh
miTTi mein kitne phul paDe sukhte rahe
rangin pattharon se bahalta raha hun main
Asghar Mehdi Hosh
saghar nahin ki jhum ke uTThe uTha liya
ye zindagi ka bojh hai mil kar uThaiye
Asghar Mehdi Hosh
TuT kar ruh mein shishon ki tarah chubhte hain
phir bhi har aadmi KHwabon ka tamannai hai
Asghar Mehdi Hosh