zikr-e-aslaf se behtar hai ki KHamosh rahen
kal nai nasl mein hum log bhi buDhe honge
Asghar Mehdi Hosh
jo log mera naqsh-e-qadam chum rahe the
ab wo bhi mujhe rah dikhane chale aae
Asghar Rahi
ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain
chala hai qafila-e-nau-bahaar kahte hain
Asghar Saleem
is ek baat se gulchin ka dil dhaDakta hai
ki hum saba se hadis-e-bahaar kahte hain
Asghar Saleem
jise kabhi sar-e-mimbar na kah saka waiz
wo baat ahl-e-junun zer-e-dar kahte hain
Asghar Saleem
dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi
hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya
Asghar Shamim
kahan sar chhupaen pata hi nahin
ki girne lagi ghar ki diwar a
Asghar Shamim