pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
Asghar Gondvi
qahr hai thoDi si bhi ghaflat tariq-e-ishq mein
aankh jhapki qais ki aur samne mahmil na tha
Asghar Gondvi
ind jo zarf uTha len wahi saghar ban jae
jis jagah baiTh ke pi len wahi mai-KHana bane
Asghar Gondvi
udad-e-chaman sunta hun is tarah qafas mein
jaise kabhi aankhon se gulistan nahin dekha
Asghar Gondvi
sau bar tera daman hathon mein mere aaya
jab aankh khuli dekha apna hi gareban hai
Asghar Gondvi
sau bar tera daman hathon mein mere aaya
jab aankh khuli dekha apna hi gareban tha
Asghar Gondvi
sunta hun baDe ghaur se afsana-e-hasti
kuchh KHwab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-ada hai
Asghar Gondvi