chhuT jae agar daman-e-kaunain to kya gham
lekin na chhuTe hath se daman-e-mohammad
Asghar Gondvi
dastan un ki adaon ki hai rangin lekin
is mein kuchh KHun-e-tamanna bhi hai shamil apna
Asghar Gondvi
ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai
lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai
Asghar Gondvi
hal kar liya majaz haqiqat ke raaz ko
pai hai main ne KHwab ki tabir KHwab mein
Asghar Gondvi
hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya
Asghar Gondvi
har ek jagah teri barq-e-nigah dauD gai
gharaz ye hai ki kisi chiz ko qarar na ho
Asghar Gondvi
ishq ki betabiyon par husn ko rahm aa gaya
jab nigah-e-shauq taDpi parda-e-mahmil na tha
Asghar Gondvi