main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi
jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya
Asghar Gondvi
main kya kahun kahan hai mohabbat kahan nahin
rag rag mein dauDi phirti hai nashtar liye hue
Asghar Gondvi
meri wahshat pe bahs-araiyan achchhi nahin zahid
bahut se bandh rakkhe hain gareban main ne daman mein
Asghar Gondvi
mujh ko KHabar rahi na ruKH-e-be-naqab ki
hai KHud numud husn mein shan-e-hijab ki
Asghar Gondvi
mujh se jo chahiye wo dars-e-basirat lije
main KHud aawaz hun meri koi aawaz nahin
Asghar Gondvi
na kuchh fana ki KHabar hai na hai baqa malum
bas ek be-KHabari hai so wo bhi kya malum
Asghar Gondvi
nahin dair o haram se kaam hum ulfat ke bande hain
wahi kaba hai apna aarzu dil ki jahan nikle
Asghar Gondvi