ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke
hum mar ke kya karenge kya kar liya hai ji ke
Asghar Gondvi
yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
Asghar Gondvi
zulf thi jo bikhar gai ruKH tha ki jo nikhar gaya
hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan
Asghar Gondvi
patthar liye har moD pe kuchh log khaDe hain
is shahr mein kitne hain mere chahne wale
Asghar Gorakhpuri
aadmi pahle bhi nanga tha magar jism talak
aaj to ruh ko bhi hum ne barahna paya
Asghar Mehdi Hosh
aane wale daur mein jo paega paighambari
mera chehra mera dil meri zaban le jaega
Asghar Mehdi Hosh
achche khuli faza mein kahan tak nikal gae
hum log ab bhi qaid isi baam-o-dar mein hain
Asghar Mehdi Hosh