us jalwa-gah-e-husn mein chhaya hai har taraf
aisa hijab chashm-e-tamasha kahen jise
Asghar Gondvi
wahin se ishq ne bhi shorishen uDai hain
jahan se tu ne liye KHanda-ha-e-zer-e-labi
Asghar Gondvi
wo naghma bulbul-e-rangin-nawa ek bar ho jae
kali ki aankh khul jae chaman bedar ho jae
Asghar Gondvi
wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai
jab muKHtasar kiya unhen insan bana diya
Asghar Gondvi
yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai KHud giraftari
jahan bazu simaTte hain wahin sayyaad hota hai
Asghar Gondvi
yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai KHud giraftari
jahan bazu simaTte hain wahin sayyaad hota hai
Asghar Gondvi
ye aastan-e-yar hai sehn-e-haram nahin
jab rakh diya hai sar to uThana na chahiye
Asghar Gondvi