اردو हिंदी
Na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane | Shaahi Shayari
na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane

Ghazal

Na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane

Asghar Gondvi

;

na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane
jaan-e-mai-KHana teri nargis-e-mastana bane

partaw-e-ruKH ke karishme the sar-e-rahguzar
zarre jo KHak se uTThe wo sanam-KHana bane

kar-farma hai faqat husn ka nairang-e-kamal
chahe wo shama bane chahe wo parwana bane

us ko matlub hain kuchh qalb o jigar ke TukDe
jaib o daman na koi phaD ke diwana bane

rind jo zarf uTha len wahi saghar ban jae
jis jagah baiTh ke pi len wahi mai-KHana bane