ahut irada kiya koi kaam karne ka
magar amal na hua uljhanen hi aisi thin
Anwar Shuoor
ura bure ke alawa bhala bhi hota hai
har aadmi mein koi dusra bhi hota hai
Anwar Shuoor
chale aaya karo meri taraf bhi!
mohabbat karne wala aadmi hun
Anwar Shuoor
dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur'
dosti apni jagah hai shaeri apni jagah
Anwar Shuoor
farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha
wo mujh se intihai KHush KHafa hone se pahle tha
Anwar Shuoor
go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha
lauT kar na dekhunga chal paDa agar tanha
Anwar Shuoor
go mujhe ehsas-e-tanhai raha shiddat ke sath
kaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke sath
Anwar Shuoor