hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein hum
kya aae the yahan isi barsat ke liye
Anwar Shuoor
hum bulate wo tashrif late rahe
KHwab mein ye karamat hoti rahi
Anwar Shuoor
hamesha hat mein rahte hain phul un ke liye
kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain
Anwar Shuoor
ho gae din jinhen bhulae hue
aaj kal hain wo yaad aae hue
Anwar Shuoor
is talluq mein nahin mumkin talaq
ye mohabbat hai koi shadi nahin
Anwar Shuoor
ishq to har shaKHs karta hai 'shuur'
tum ne apna haal ye kya kar liya
Anwar Shuoor
ittifaq apni jagah KHush-qismati apni jagah
KHud banata hai jahan mein aadmi apni jagah
Anwar Shuoor