اردو हिंदी
Go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha | Shaahi Shayari
go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha

Ghazal

Go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha

Anwar Shuoor

;

go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha
lauT kar na dekhunga chal paDa agar tanha

sach hai umr bhar kis ka kaun sath deta hai
gham bhi ho gaya ruKHsat dil ko chhoD kar tanha

aadmi ko gumrahi le gai sitaron tak
rah gae bayaban mein hazrat-e-KHizar tanha

hai to wajh-e-ruswai meri hamrahi lekin
raston mein KHatra hai jaoge kidhar tanha

ai 'shuur' is ghar mein is bhare-pure ghar mein
tujh sa zinda-dil tanha aur is qadar tanha