kisi gharib ko zaKHmi karen ki qatl karen
nigah-e-naz pe jurmane thoDi hote hain
Anwar Shuoor
kiya baadalon mein safar zindagi bhar
zamin par banaya na ghar zindagi bha
Anwar Shuoor
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se
Anwar Shuoor
lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae
Anwar Shuoor
log sadmon se mar nahin jate
samne ki misal hai meri
Anwar Shuoor
marne wala KHud ruTha tha
ya naraaz hayat hui thi
Anwar Shuoor
mere ghar ke tamam darwaze
tum se karte hain pyar aa jao
Anwar Shuoor