muTThi se phisle hi jate hain har phal
wasl ke lamhe tar-e-resham hote hain
Anjum Irfani
palkon pe jugnuon ka basera hai waqt-e-sham
'anjum' main paniyon mein chamak chhoD kar gaya
Anjum Irfani
safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha
Anjum Irfani
sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa
mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka
Anjum Irfani
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya
Anjum Irfani
udhar sach bolne ghar se koi diwana niklega
udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyariyan hongi
Anjum Irfani
yaad hai qissa-e-gham ka mujhe har lafz abhi
haal jis dard ka jis ranj ka jab se puchho
Anjum Irfani