firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain
KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen
Anjum Khaleeq
hath aaega kya sahil-e-lab se hamein 'anjum'
jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai
Anjum Khaleeq
hain aur bhi duniya mein suKHnawar bahut achchhe
hum jaisa magar zauq-e-qawafi nahin rakhte
Anjum Khaleeq
hum aise log bahut KHush-guman hote hain
ye dil zarur tera e'tibar kar lega
Anjum Khaleeq
ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga
phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi
Anjum Khaleeq
insan ki niyyat ka bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkan mein rakhna
Anjum Khaleeq
jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya
wo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar ka
Anjum Khaleeq