kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki KHamoshi
kaha us KHamushi mein bhi to ek taqrir hoti hai
Anjum Khaleeq
kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai
kaha man ki duaon mein baDi tasir hoti hai
Anjum Khaleeq
kaisa firaq kaisi judai kahan ka hijr
wo jaega agar to KHayalon mein aaega
Anjum Khaleeq
KHatir se jo karna paDi kaj-fahm ki taid
lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai
Anjum Khaleeq
KHud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de
KHud pe bhi iKHtiyar rakh mujh pe bhi e'tibar ka
Anjum Khaleeq
KHumar-e-qurbat-e-manzil tha na-rasi ka jawaz
gali mein aa ke main us ka makan bhul gaya
Anjum Khaleeq
kya jaanen safar KHair se guzre ki na guzre
tum ghar ka pata bhi mere saman mein rakhna
Anjum Khaleeq