اردو हिंदी
Jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain | Shaahi Shayari
jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain

Ghazal

Jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain

Anjum Irfani

;

jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain
us ke ishaare sare mubham hote hain

har chehra har rang mein aane lagta hai
pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain

aise mein aa jati hai apni hi yaad
aaina hota hai aur hum hote hain

bhulne lagte hain jugnu bhi apni rah
palkon par jab qatra-e-shabnam hote hain

mauj-e-bala jab sar se guzarne lagti hai
mazlumon ke hath hi parcham hote hain

muTThi se phisle hi jate hain har phal
wasl ke lamhe tar-e-resham hote hain

kya jaane jo diwar-o-dar ka hai asir
rahon mein kya kya pech-o-KHam hote hain

koi purana KHat kuchh bhuli-bisri yaad
zaKHmon par wo lamhe marham hote hain

'anjum' jalne lagte hain har samt diye
dard ke hamle dil par paiham hote hain