nahin hai na-umid 'iqbaal' apni kisht-e-viran se
zara nam ho to ye miTTi bahut zarKHez hai saqi
Allama Iqbal
nahin is khuli faza mein koi gosha-e-faraghat
ye jahan ajab jahan hai na qafas na aashiyana
Allama Iqbal
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein
Allama Iqbal
nasha pila ke girana to sab ko aata hai
maza to tab hai ki girton ko tham le saqi
Allama Iqbal
nigah-e-ishq dil-e-zinda ki talash mein hai
shikar-e-murda saza-war-e-shahbaz nahin
Allama Iqbal
nigah buland suKHan dil-nawaz jaan pur-soz
yahi hai raKHt-e-safar mir-e-karwan ke liye
Allama Iqbal
nikal ja aql se aage ki ye nur
charagh-e-rah hai manzil nahin hai
Allama Iqbal