main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein
Allama Iqbal
main tujh ko batata hun taqdir-e-umam kya hai
shamshir-o-sinan awwal taus-o-raubab aaKHi
Allama Iqbal
man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin
tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan
Allama Iqbal
maqam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahin
unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyaad
Allama Iqbal
masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat walon ne
man apna purana papi hai barson mein namazi ban na saka
Allama Iqbal
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum watan hai hindostan hamara
Allama Iqbal
milega manzil-e-maqsud ka usi ko suragh
andheri shab mein hai chite ki aankh jis ka charagh
Allama Iqbal