mere junun ne zamane ko KHub pahchana
wo pairahan mujhe baKHsha ki para para nahin
Allama Iqbal
meri nigah mein wo rind hi nahin saqi
jo hoshiyari o masti mein imtiyaz kare
Allama Iqbal
moti samajh ke shan-e-karimi ne chun liye
qatre jo the mere araq-e-infial ke
Allama Iqbal
mujhe rokega tu ai naKHuda kya gharq hone se
ki jin ko Dubna hai Dub jate hain safinon mein
Allama Iqbal
murid-e-sada to ro ro ke ho gaya taib
KHuda kare ki mile shaiKH ko bhi ye taufiq
Allama Iqbal
na puchho mujh se lazzat KHanaman-barbaad rahne ki
nasheman saikDon main ne bana kar phunk Dale hain
Allama Iqbal
na samjhoge to miT jaoge ai hindostan walo
tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein
Allama Iqbal