pas tha nakaami-e-sayyaad ka ai ham-safir
warna main aur uD ke aata ek dane ke liye
Allama Iqbal
purane hain ye sitare falak bhi farsuda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-KHez
Allama Iqbal
ishi ke faqon se TuTa na barhaman ka tilism
asa na ho to kalimi hai kar-e-be-buniyaad
Allama Iqbal
sare jahan se achchha hindostan hamara
hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
Allama Iqbal
sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe
ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun
Allama Iqbal
samundar se mile pyase ko shabnam
baKHili hai ye razzaqi nahin hai
Allama Iqbal
sau sau umiden bandhti hai ek ek nigah par
mujh ko na aise pyar se dekha kare koi
Allama Iqbal