kabhi hum se kabhi ghairon se shanasai hai
baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai
Allama Iqbal
KHudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen
ki darweshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari
Allama Iqbal
KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai
Allama Iqbal
KHudi wo bahr hai jis ka koi kinara nahin
tu aabju ise samjha agar to chaara nahin
Allama Iqbal
kise KHabar ki safine Dubo chuki kitne
faqih o sufi o shair ki na-KHush-andeshi
Allama Iqbal
kushada dast-e-karam jab wo be-niyaz kare
niyaz-mand na kyun aajizi pe naz kare
Allama Iqbal
mahine wasl ke ghaDiyon ki surat uDte jate hain
magar ghaDiyan judai ki guzarti hain mahinon mein
Allama Iqbal