sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai
ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
Allama Iqbal
sitara kya meri taqdir ki KHabar dega
wo KHud faraKHi-e-aflak mein hai KHwar o zubun
Allama Iqbal
tera imam be-huzur teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar aise imam se guza
Allama Iqbal
tere aazad bandon ki na ye duniya na wo duniya
yahan marne ki pabandi wahan jine ki pabandi
Allama Iqbal
tere ishq ki intiha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
Allama Iqbal
tujhe kitab se mumkin nahin faragh ki tu
kitab-KHwan hai magar sahib-e-kitab nahin
Allama Iqbal
tu hai muhit-e-be-karan main hun zara si aabju
ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar ka
Allama Iqbal