jalal-e-padshahi ho ki jamhuri tamasha ho
juda ho din siyasat se to rah jati hai changezi
Allama Iqbal
jamhuriyat ek tarz-e-hukumat hai ki jis mein
bandon ko gina karte hain taula nahin karte
Allama Iqbal
jinhen main DhunDhta tha aasmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-KHana-e-dil ke makinon mein
Allama Iqbal
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jala do
Allama Iqbal
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein
Allama Iqbal
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein
ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein
Allama Iqbal
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko
khaTak si hai jo sine mein gham-e-manzil na ban jae
Allama Iqbal