اردو हिंदी
Kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein | Shaahi Shayari
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein

Ghazal

Kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein

Allama Iqbal

;

kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein
ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein

tarab-ashna-e-KHarosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho
wo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein

tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina
ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein

dam-e-tauf kirmak-e-shama ne ye kaha ki wo asar-e-kuhan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-KHana-KHarab ko tere afw-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shoKHiyan
na wo ghaznawi mein taDap rahi na wo KHam hai zulf-e-ayaz main

main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein