اردو हिंदी
Dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari | Shaahi Shayari
dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari

Ghazal

Dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari

Allama Iqbal

;

dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari
mis-e-adam ke haq mein kimiya hai dil ki bedari

dil-e-bedar paida kar ki dil KHwabida hai jab tak
na teri zarb hai kari na meri zarb hai kari

masham-e-tez se milta hai sahra mein nishan us ka
zan o taKHmin se hath aata nahin aahu-e-tatari

is andeshe se zabt-e-ah main karta rahun kab tak
ki mugh-zade na le jaen teri qismat ki chingari

KHudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen
ki darweshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari

mujhe tahzib-e-hazir ne ata ki hai wo aazadi
ki zahir mein to aazadi hai baatin mein giraftari

tu ai maula-e-yasrib aap meri chaarasazi kar
meri danish hai afrangi mera iman hai zunnari