hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro
Faza Ibn e Faizi
har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla
kitab ka na koi dars mo'tabar nikla
Faza Ibn e Faizi
jala hai shahr to kya kuchh na kuchh to hai mahfuz
kahin ghubar kahin raushni salamat hai
Faza Ibn e Faizi
kahan wo log jo the har taraf se nastaliq
purani baat hui chust bandishen likhna
Faza Ibn e Faizi
KHak-e-'shibli' se KHamir apna bhi uTTha hai 'faza'
nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha
Faza Ibn e Faizi
KHabar mujh ko nahin main jism hun ya koi saya hun
zara is ki wazahat dhup ki chadar pe likh dena
Faza Ibn e Faizi
kis tarah umr ko jate dekhun
waqt ko aankhon se ojhal kar de
Faza Ibn e Faizi