mera rota bachcha bahalta tha jis se
wo lakDi ka hathi uTha le gaya wo
Fay Seen Ejaz
tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur
meri qurbat mere bose mujhe wapas kar de
Fay Seen Ejaz
aDhana hath pakaDne ko rang muTThi mein
to titliyon ke paron ka daraaz ho jaana
Fayyaz Farooqi
jab un ki bazm mein har KHas o aam ruswa hai
ajib kya hai agar mera nam ruswa hai
Fayyaz Farooqi
jugnu hawa mein le ke ujale nikal paDe
yun tirgi se laDne jiyale nikal paDe
Fayyaz Farooqi
kaise mumkin hai ki qisse jis se sab wabasta hon
wo chale aur sath us ke dastan koi na ho
Fayyaz Farooqi
ah mein us ki chalen aur imtihan koi na ho
kaise mumkin hai ki aatish ho dhuan koi na ho
Fayyaz Farooqi