tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki
mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena
Faza Ibn e Faizi
tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa
aise pas-manzar mein kya rahna sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
us ki qurbat ka nasha kya chiz hai
hath phir jalte tawe par rakh diya
Faza Ibn e Faizi
waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe
jis qadar raushan tha main us se siwa raushan hua
Faza Ibn e Faizi
wo mel-jol husn o basirat mein ab kahan
jo silsila tha phul ka patthar se kaT gaya
Faza Ibn e Faizi
ye tamasha didani Thahra magar dekhega kaun
ho gae hum rakh to dast-e-dua raushan hua
Faza Ibn e Faizi
yun maani se bahut KHas hai rishta apna
zindagi kaT gai lafzon ko KHabar karne mein
Faza Ibn e Faizi