kisi lamhe to KHud se la-talluq bhi raho logo
masail kam nahin phir zindagi bhar sochte rahna
Faza Ibn e Faizi
log mujh ko mere aahang se pahchan gae
kaun badnam raha shahr-e-suKHan mein aisa
Faza Ibn e Faizi
mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt
KHazaf dikha ke guhar ki misal puchhega
Faza Ibn e Faizi
nutq se lab tak hai sadiyon ka safar
KHamushi ye dukh bhala jhelegi kya
Faza Ibn e Faizi
palkon par apni kaun mujhe ab sajaega
main hun wo rang jo tere paikar se kaT gaya
Faza Ibn e Faizi
shaKHsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza'
jitni sada hai tabiat utna hi tikha huna
Faza Ibn e Faizi
talash-e-mani-e-maqsud itni sahl na thi
main lafz lafz utarta gaya bahut gahra
Faza Ibn e Faizi