tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par
phir se hum bhar gae zaKHmon ko hara kya karte
Fayyaz Farooqi
ye socha hai ki tujh ko sochna ab chhoD dunga main
ye laghzish mujh se lekin be-irada ho hi jati hai
Fayyaz Farooqi
chori KHuda se jab nahin bandon se kis liye
chhupne mein kuchh maza nahin sab ko dikha ke pi
Fayyaz Hashmi
na tum aae na chain aaya na maut aai shab-e-wada
dil-e-muztar tha main tha aur thin be-tabiyan meri
Fayyaz Hashmi
jise pane ki KHwahish mein jiye the
usi ki zat ka inkar karna
Fayyaz tahseen
kuchh uqde aise hote hain jo na hi khulen to behtar hai
kuchh baaten aisi hoti hain jinhen dil mein chhupa lena achchha
Fayyaz tahseen
tujhe KHabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi
jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna
Fayyaz tahseen