اردو हिंदी
Ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro | Shaahi Shayari
ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro

Ghazal

Ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro

Faza Ibn e Faizi

;

ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro
phir bhi apne baam-o-dar be-charagh hain yaro

aao hum mein Dhal jao umr bhar ke pyase hain
tum sharab ho yaro hum ayagh hain yaro

jin pe barish-e-gul hai un ka haal kya hoga
zaKHm khane wale bhi bagh bagh hain yaro

jin ko rah ke kanTon mein KHush-mizaj hona tha
wo maqam-e-gul pa kar be-dimagh hain yaro

hum se mil ke fitrat ke pech-o-KHam ko samjhoge
hum jahan-e-fitrat ka ek suragh hain yaro

na-shanason ki tahsin rang lai hai kya kya
koile bhi ab lal-e-shab-charagh hain yaro

hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro