aat mere fughan-o-nale se
sari basti na nind bhar soi
Shaikh Zahuruddin Hatim
aat us ki mahfil mein sar se jal ke panw tak
shama ki pighal charbi ustuKHan nikal aai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ahn-e-sharab-KHana kiya shaiKH haif hai
jo pairahan banaya tha ehram ke liye
Shaikh Zahuruddin Hatim
akhe hai shisha mera sang sath rabt-e-qadim
ki aaTh pahr mere dil ko hai shikast se kaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
akhta hai ibaadat ke liye hasrat-e-jannat
zahid ki KHuda sath mohabbat sababi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
shahr mein charcha hai ab teri nigah-e-tez ka
do kare dil ke tain ye nimcha angrez ka
Shaikh Zahuruddin Hatim
shaiKH us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin
us taraf mat jao nadan rah mai-KHane ki hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
shama har sham tere rone par
subh-dam tak charagh hansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
sau bar tar tar kiya to bhi ab talak
sabit wahi hai dast o gareban ki dosti
Shaikh Zahuruddin Hatim