main gul-e-KHushk hun lamhe mein bikhar sakta hun
ye bhi mumkin hai ki kuchh der hawa rahne de
Shahzad Ahmad
main chahta hun haqiqat-pasand ho jaun
magar hai is mein ye mushkil haqiqaten hain bahut
Shahzad Ahmad
main apni jaan mein use jazb kis tarah karta
use gale se lagaya laga ke chhoD diya
Shahzad Ahmad
kuchh tere sabab thi mere pahlu mein hararat
kuchh dil ne bhi is aag ko bhaDkaya hua tha
Shahzad Ahmad
kuchh dekhne ki dil mein tamanna nahin baqi
kya apni bhi taqat se siwa dekh liya hai
Shahzad Ahmad
kuchh tazkira-e-husn se raushan the dar-o-baam
kuchh shama ne bhi bazm ko chamkaya hua tha
Shahzad Ahmad
manzil hai kaThin dil bahut aaram-talab hai
kyun yaad mujhe aate ho ai bhulne walo
Shahzad Ahmad
kyun bulati hai mujhe duniya usi ke nam se
kya mere chehre pe us ka nam hai likkha hua
Shahzad Ahmad
lete hain log sans bhi ab ehtiyat se
chhoTa sa hi sahi koi fitna uThaiye
Shahzad Ahmad