ab to le de ke yahi kaam hai in aaankhon ka
jin ko dekha nahin un KHwabon ki tabir karen
Shahryar
aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
Shahryar
ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
main apne sae se kal raat Dar gaya yaro
Shahryar
aks-e-yaad-e-yar ko dhundla kiya hai
main ne KHud ko jaan kar tanha kiya hai
Shahryar
ahut shor tha jab samaat gai
bahut bhiD thi jab akele hue
Shahryar
ataun kis tarah ahbab ko aankhen jo aisi hain
ki kal palkon se TuTi nind ki kirchen sameTin hain
Shahryar
e-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan
jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga
Shahryar
ichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai
Shahryar
chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi
kyun waqt ek moD pe Thahra hua sa hai
Shahryar