ek sirf hamin mai ko aaankhon se pilate hain
kahne ko to duniya mein mai-KHane hazaron hain
Shahryar
ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath
dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke
Shahryar
har taraf apne ko bikhra paoge
aainon ko toD ke pachhtaoge
Shahryar
har mulaqat ka anjam judai kyun hai
ab to har waqt yahi baat satati hai hamein
Shahryar
hum ne to koi baat nikali nahin gham ki
wo zud-pashiman pashiman sa kyun hai
Shahryar
hum KHush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote
Shahryar
hum juda ho gae aaghaz-e-safar se pahle
jaane kis samt hamein rah-e-wafa le jati
Shahryar
hai koi jo batae shab ke musafiron ko
kitna safar hua hai kitna safar raha hai
Shahryar
hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'
tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye
Shahryar