hum KHush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote
Shahryar
aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
Shahryar
hai koi jo batae shab ke musafiron ko
kitna safar hua hai kitna safar raha hai
Shahryar
hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'
tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye
Shahryar
gulab Tahni se TuTa zamin par na gira
karishme tez hawa ke samajh se bahar hain
Shahryar
ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai
Shahryar
gardish-e-waqt ka kitna baDa ehsan hai ki aaj
ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein
Shahryar
gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai
saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho
Shahryar
ek hi miTTi se hum donon bane hain lekin
tujh mein aur mujh mein magar fasla yun kitna hai
Shahryar