gardish-e-waqt ka kitna baDa ehsan hai ki aaj
ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein
Shahryar
ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai
Shahryar
gulab Tahni se TuTa zamin par na gira
karishme tez hawa ke samajh se bahar hain
Shahryar
hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'
tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye
Shahryar
hai koi jo batae shab ke musafiron ko
kitna safar hua hai kitna safar raha hai
Shahryar
hum juda ho gae aaghaz-e-safar se pahle
jaane kis samt hamein rah-e-wafa le jati
Shahryar
hum KHush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote
Shahryar
hum ne to koi baat nikali nahin gham ki
wo zud-pashiman pashiman sa kyun hai
Shahryar
har mulaqat ka anjam judai kyun hai
ab to har waqt yahi baat satati hai hamein
Shahryar