KHuda ke waste mauqa na de shikayat ka
ki dosti ki tarah dushmani nibhaya ka
Saqi Faruqi
log lamhon mein zinda rahte hain
waqt akela isi sabab se hai
Saqi Faruqi
magar un sipiyon mein paniyon ka shor kaisa tha
samundar sunte sunte kan bahre kar liye hum ne
Saqi Faruqi
main apne shahr se mayus ho ke lauT aaya
purane sog base the nae makanon mein
Saqi Faruqi
main apni aankhon se apna zawal dekhta hun
main bewafa hun magar be-KHabar na jaan mujhe
Saqi Faruqi
main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila
saqi mere mizaj ka mausam nahin mila
Saqi Faruqi
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun
aur aankhon ka KHazana tha ki KHali nikla
Saqi Faruqi
main to KHuda ke sath wafadar bhi raha
ye zat ka tilism magar TuTta nahin
Saqi Faruqi
main un se bhi mila karta hun jin se dil nahin milta
magar KHud se bichhaD jaane ka andesha bhi rahta hai
Saqi Faruqi