ek ek kar ke log bichhaDte chale gae
ye kya hua ki waqfa-e-matam nahin mila
Saqi Faruqi
hadsa ye hai ki hum jaan na moattar kar pae
wo to KHush-bu tha use yun bhi bikhar jaana tha
Saqi Faruqi
had-bandi-e-KHizan se hisar-e-bahaar tak
jaan raqs kar sake to koi fasla nahin
Saqi Faruqi
hairani mein hun aaKHir kis ki parchhain hun
wo bhi dhyan mein aaya jis ka saya koi na tha
Saqi Faruqi
hum tang-na-e-hijr se bahar nahin gae
tujh se bichhaD ke zinda rahe mar nahin gae
Saqi Faruqi
ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte
Saqi Faruqi
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho
ruh mein raushni lahje mein chamak paida ho
Saqi Faruqi
KHak main us ki judai mein pareshan phirun
jab ki ye milna bichhaDna meri marzi nikla
Saqi Faruqi
KHamushi chheD rahi hai koi nauha apna
TuTta jata hai aawaz se rishta apna
Saqi Faruqi