اردو हिंदी
Main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin | Shaahi Shayari
main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin

Ghazal

Main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin

Saqi Faruqi

;

main wo hun jis pe abr ka saya paDa nahin
banjar paDa hua hun koi dekhta nahin

main to KHuda ke sath wafadar bhi raha
ye zat ka tilism magar TuTta nahin

yun TuTta zarur bikharta zarur hun
main chaak-e-pairahan nahin KHunin qaba nahin

main ne ulajh ke dekh liya apni gunj se
ab kya sada lagaun koi jagta nahin

had-bandi-e-KHizan se hisar-e-bahaar tak
jaan raqs kar sake to koi fasla nahin