اردو हिंदी
Wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai | Shaahi Shayari
wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

Ghazal

Wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

Saqi Faruqi

;

wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai
meri yaadon mein ek bhula hua chehra bhi rahta hai

jab us ki sard-mehri dekhta hun bujhne lagta hun
mujhe apni adakari ka andaza bhi rahta hai

main un se bhi mila karta hun jin se dil nahin milta
magar KHud se bichhaD jaane ka andesha bhi rahta hai

jo mumkin ho to pur-asrar duniyaon mein daKHil ho
ki har diwar mein ek chor darwaza bhi rahta hai

bas apni bebasi ki satwin manzil mein zinda hun
yahan par aag bhi rahti hai aur nauha bhi rahta hai