nae charagh jala yaad ke KHarabe mein
watan mein raat sahi raushni manaya ka
Saqi Faruqi
mujhe samajhne ki koshish na ki mohabbat ne
ye aur baat zara pechdar main bhi tha
Saqi Faruqi
mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
ye hadsa tha ki main umr bhar safar mein raha
Saqi Faruqi
mujhe gunah mein apna suragh milta hai
wagarna parsa-o-din-dar main bhi tha
Saqi Faruqi
mujh mein sat samundar shor machate hain
ek KHayal ne dahshat phaila rakkhi hai
Saqi Faruqi
mujh ko meri shikast ki dohri saza mili
tujh se bichhaD ke zindagi duniya se ja mili
Saqi Faruqi
muddat hui ek shaKHs ne dil toD diya tha
is waste apnon se mohabbat nahin karte
Saqi Faruqi
miT jaega sehr tumhaari aankhon ka
apne pas bula legi duniya ek din
Saqi Faruqi
mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
ye sochta hua girja bula raha hai mujhe
Saqi Faruqi