اردو हिंदी
O mere masruf KHuda | Shaahi Shayari
o mere masruf KHuda

Ghazal

O mere masruf KHuda

Nasir Kazmi

;

o mere masruf KHuda
apni duniya dekh zara

itni KHilqat ke hote
shahron mein hai sannaTa

jhonpaDi walon ki taqdir
bujha bujha sa ek diya

KHak uDate hain din raat
milon phail gae sahra

zagh o zaghan ki chiKHon se
sona jangal gunj uTha

suraj sar pe aa pahuncha
garmi hai ya roz-e-jaza

pyasi dharti jalti hai
sukh gae bahte dariya

faslen jal kar rakh huin
nagri nagri kal paDa