main masiha use samajhta hun
jo mere dard ki dawa na kare
Muztar Khairabadi
main nahin hun naghma-e-jaan-faza mujhe sun ke koi karega kya
main baDe birog ki hun sada main baDe dukhi ki pukar hun
Muztar Khairabadi
main teri rah-e-talab mein ba-tamanna-e-visal
mahw aisa hun ki miTne ka bhi kuchh dhyan nahin
Muztar Khairabadi
masiha ja raha hai dauD kar aawaz do 'muztar'
ki dil ko dekhta ja jis mein chhaale paDte jate hain
Muztar Khairabadi
mera dil-e-'muztar' but-e-kafir se laga hai
aur aankh meri su-e-KHuda dekh rahi hai
Muztar Khairabadi
mera rang rup bigaD gaya mera yar mujh se bichhaD gaya
jo chaman KHizan se ujaD gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun
Muztar Khairabadi
mere ashkon ki rawani ko rawani to kaho
KHair tum KHun na samjho ise pani to kaho
Muztar Khairabadi
mere ghubar ki ye talli to dekhiye
itna baDha ki arsh-e-mualla se mil gaya
Muztar Khairabadi
meri arman bhari aankh ki tasir hai ye
jis ko main pyar se dekhunga wahi tu hoga
Muztar Khairabadi