koi achchha nazar aa jae to ek baat bhi hai
yun to parde mein sabhi parda-nashin achchhe hain
Muztar Khairabadi
koi le le to dil dene ko main tayyar baiTha hun
koi mange to apni jaan tak qurban karta hun
Muztar Khairabadi
kuchh na puchho ki kyun gaya kabe
un buton ko salam karna tha
Muztar Khairabadi
kuchh tumhin to ek duniya mein nahin
aur bhi hain saikDon is nam ke
Muztar Khairabadi
kucha-e-yar se yarab na uThana hum ko
is bure haal mein bhi hum to yahin achchhe hain
Muztar Khairabadi
kya asar KHak tha majnun ke phaTe kapDon mein
ek TukDa bhi to laila ka gareban na hua
Muztar Khairabadi
laDai hai to achchha raat-bhar yun hi basar kar lo
hum apna munh idhar kar len tum apna munh udhar kar lo
Muztar Khairabadi
lutf-e-qurbat hai mai-parasti mein
main KHuda dekhta hun masti mein
Muztar Khairabadi
madhosh hi raha main jahan-e-KHarab mein
gundhi gai thi kya meri miTTi sharab mein
Muztar Khairabadi