wo pas aane na pae ki aai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-KHwab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
wo mazaq-e-ishq hi kya ki jo ek hi taraf ho
meri jaan maza to jab hai ki tujhe bhi kal na aae
Muztar Khairabadi
wo karenge wasl ka wada wafa
rang gahre hain hamari sham ke
Muztar Khairabadi
waqt-e-aKHir qaza se bigDegi
aap us waqt mein karam na karen
Muztar Khairabadi
waqt aaram ka nahin milta
kaam bhi kaam ka nahin milta
Muztar Khairabadi
waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
Muztar Khairabadi
yaad karna hi hum ko yaad raha
bhul jaana bhi tum nahin bhule
Muztar Khairabadi
wo gale se lipaT ke sote hain
aaj-kal garmiyan hain jaDon mein
Muztar Khairabadi
wo kahte hain ki kyun ji jis ko tum chaho wo kyun achchha
wo achchha kyun hai aur hum jis ko chahen wo bura kyun hai
Muztar Khairabadi